3 October 2020

From the pen of Nasir Kazmi

“Naye kapde badal kar jaun kahan
Aur bal banaun kis ke liye

Wo shakhs to shahar hi chhor gaya
Main bahaar jaaun kiske liye


Jis dhup ki dil ko thandak thi
Wo dhup usi ke saath gayee

In jalti bujhti galiyon mein
Ab khak udaoon kiske liye

Wo shahar mein tha to uske liye
Auron se milna parta tha

Ab aise-waise logon ke naaz
Main uthaun kiske liye

Muddat se koi aaya na gayaa
Sunsaan padi hai ghar ki faza

In khali kamron mein ‘Nasir’
Ab shamma jalaun kis k liye”

The rendition for this evening was by Ustad Gulshan Mir – dad of the Noorani sisters.



Posted October 3, 2020 by Rajib Roy in category "Music/Poetry

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *


This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.